Dear G.
jaisa k tum janti ho,k mai pahle khud k liye blog likha karta tha. Lekin ab aisa nahi hai,ek likne ka jariya ban gai ho tum. Aur aage bhi likhunga k muze yaha read karne wala koi maujud to hai. Direct na sahi indirect hi kyu na ho,koi to hai to dil se muze padhega. Mere SMS ka jis taraha se tum wait karti ho,blog ka bhi jarur karogi.
any way ab mai dusre topic pe aata hu. Kal mai apne bua ki ladki ki beti jo doctr hai. Lagbhag meri hi umar ki. Usse emotional aur practical hone k bare me thodi discussion ki. Wo bahot practical hai,kaise?
-uske father unki pahli bivi k 7 rahte hai. Inki family ko shikayat hai k unhone apni dusri shadi k bare me na batake inhe dhoka diya hai. Lekin muze ajib lagta hai,yaha 1 ladki dr. Aur baki 2 ladkiya engineer hai. Lekin inke alag rahte hue bhi. Is dr.k pita hi inke pariwar ki puri jimmedari uthate rahe hai. Dhyan dene layak bat hai k unke pahli bivi se unhe 2 ladkiya hai,wo bhi engineer hai. Unhone apni jimmedari apni santan k bare me puri ki. Wo peshe se TALATHI hai. Unho ne meri bua ki ladki ko apne sasural rahne ko bola hai,yaha pe shikayat bua ki ladki karti hai apne saas se. Lekin is puri kashmakash me meri bhanji(dr.aur uski 2 bahne) inko pita ka sahara, unke 7 rahne ka mauka mil hi nahi pata.
kitne problem hai nahi jindagi me? hamara priya wyakti hamare 7 hote hue bhi 7 nahi hai. Kitna taklif dene wala prasang hai ye? hai na?? kyu hota hai aisa. Rai jitne sukh aur pahad jaise dukh? har insan chahe jitna amir/garib ho. Dukh uska picha nahi chodta.
hume jariye paida karna hoga,dhundna hoga jaha se sukh mile. Us BYCHANCE shabd ko humari jindgi se darkinar karna hoga. Taki agar dukh aaye to hume sirf chukar nikal jaye. Jakhm na de.
Tum aur mai dono ko jindagi ne bahot dukh diye hai. Aur humne khud ek dusre ko in mushkil maukon pe 1 jariye k rup me paya. Har mauke ko golden moment me tabdil kiya. Isliye hume us uparwale ka shukragujar hona chahiye. Jindagi k is kadi dhup me tumhare sath ki ye thandak sahi mayne me jindagi ko khubsurati de rahi hai. Thanx a lot. Tc.
No comments:
Post a Comment