Tuesday, February 2, 2010

"Zindagi kaisi hai paheli khali, kabhi ye hasaye,kabhi ye rulaye."
Kisi hindi film ka ye gana hamari zindagi pe kitna satik baithta hai,nahi? lagta hai jaise ye gana sirf humare liye bana hai,ya yu kahein sirf mere liye bana hai. Shayad yahi wajah hai ki filmon ko hamare jiwan ka aaina kaha jata hai.
Nischit hi mai yaha filmon ki batein nahi kar raha. Balki humare rishto naton k us najuk bandhan ko samajne ki koshish kar raha hu jo dhage se bhi najuk aur kamjor hote hai. Samaj banta hai logon se,humse. Aur pariwar b humse hi bante hai. Jo ki ghar ki neev hoti hai. Mai nahi manta k ghar eet,mitti,reti ya cement se bante hai. Unse banta hai sirf makan. Makan ko ghar me tabdil isaan banate hai. Lekin insan, pariwar banata hai? bilkul nahi! pariwar banta hai vishwas se. Vishwas 1 pani ka bulbula hi to hai,jiski umr ka koi bharosa nahi. Tabhi to samaj me bacche sirf shadi hote hi apne maa,baap ko apne pariwar ki 1 aisi kachhi kadi samajte hai jiska ghar pariwar k sankal me koi mahatwa hi nahi hai.
muze ajib hi lagta hai k kaise hum apne janm se lekar apni jawani tak ka safar jin maa bap se judkar karte hai, sirf us parayi aurat jo hal hi me humare pariwar ki sadasya banti hai. Uske vichar,uske mat aur uski chand baton ke karan maa baap paraye lagne lagte hai. Ye kaisa andha vishwash? kaise kamjor natein,rishtein ?? kya yahi hai humara pyar aur usko jodne wali rihton ki gond?

No comments:

Post a Comment